Tuesday, 24 January 2012
Sunday, 15 January 2012
Poetry
Yaar bhi raah ki deewar samajhtay hain mujhe
Main samajhta tha meray yaar samajhtay hain mujhe
Main to yun chup hoon k andar se bohut khaali hoon main
aur sab log pur-israar samajhtay hain mujhe....
bas yahi dauRh hai is daur k insanoN ki
teri deewaar se ooNchi meri deewaar baney
saboot hai dar-o-deewaar pe dhuyen ke nishaan
hamaray ghar main ujaalon ne khud-kushi ki hai
us ke ghar ki deewaar gir paRhi us par
dafn yeh aaj hua hai mara to kab ka tha
apne daro deewar se hoshiyaar rahay,
aaj deewanay k ghar janay ko jee chahta hai.
dard aisa hai k jee chahta hai zinda rahiye,
zindigi aisi k mar jaane ko jee chahta hai.
meray pairon mein chaley thay' bala ki dhoop thi sar par
magar main ghair ki deewar ke neechay nahin betha
Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye
Meri Dastane Hasrat Suna Suna ke Roye
Teri Bewafaiyon Par, Teri Kaj Adaiyon Par
Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabu Munh Chupa Ke Roye
Jo Sunai Anjuman Men Shab-e0 Gham Ki Aab-biti
Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye
Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai
Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale Laga Ke Roye
Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha
Main Yeh Kaise Maan Jaun Ke Woh Dur Ja KE Roye
Shikwe hain zuban pe taqdir ke mare hain
Daman bhi hamare hain aansoo bhi hamare hain
Kisi ke ek aansoo per hazaron dil tadapte hain
Kisi ka umar bhar rona yonhi bekar jata hain
Abb kahan dost milein saath nibhaaney vaaley,
Sab nay seekhay hain abb adaab zamaaney vaaley,
Dil jalao ya diye aankhon kay darvaazey par,
Waqt say pehlay tou aatey nhi aaney vaaley,
Ashq bann kay main nigaahon mein teri aaoongaa,
Ai mujhay apni nigaahon say giraaney vaaley,
Waqt badla tou uthaatey hain abb ungli mujh par,
Kall talaq haq mein merey haath utthaaney vaaley,
Waqt har zakham ka marham tou nhi bann sakta,
Dard kuchh hotay hain ta-umar rulaaney vaaley,
khuli jo ankh tou woh thaa na woh zamana thaa,
Dehkti aag thee tanhaayi thee fasana thaa,
Gamon ney baant liya mujhe yuun aapas mein,
Kay jaisay main koi loota hua khazana thaa,
Yeh kya chund hee qadmon par thak kay baith gaye,
Tumhein tou saath mera duur tak nibhana thaa,
Mujhe jo merey lahoo mein dubo kay guzra hai,
Woh koi gair nhin yaar ek poorana thaa,
Khud apney hee haath say uss ko kaat diya,
Kay jiss darakht kee tehni pay ashiyaana thaa,
Na tujhe chorr sakte hain tere ho bhi nahi sakte
Yeh kaisi bebasi hai aaj hum ro bhi nahi sakte
Yeh kaisa dard hai pal pal hamain tarpaye rakhta hai
Tumhari yaad aati hai to phir so bhi nahi sakte
Chhupa sakte hain aur na dikha sakte hain logon ko
Kuch aise daagh hain Dil per jo hum dho bhi nahi sakte
Kaha to tha chorr denge yeh nagar phir ruk gaye lekin
Tumhain paa to nahi sakte magar kho bhi nahi sakte
Hamara ek hona bhi nahi mumkin raha ab tooooo
Jeeyen kaise ke tum se door reh bhi nahi sakte
Thokar Ke Bina Log Guzar Kyun Nahin Jatey
Pathar Ho Muqabil To Thehar Kyun Nahin Jatey
Is Shehar Ke Jugnoon Bhi Chalavay Hain Nazar Ke
Phir Log Sar-E-Shaam Hi Ghar Kyun Nahin Jatey
Tum Nay To Giraya Hai Mujhay Apni Nazar Say
Tum Meri Nighaon Say Utar Kyun Nahin Jatey
Mar Mar Ke Jiye Jatey Hain Sadkon Ke Kinarey
Marna Hi Zaroori Hai To Mar Kyun Nahin Jatey
Mohsin Ko Hi Maatoob Kia Jata Hai Aksar
Ilzaam Kabhi Us Ke Bhi Sar Kyun Nahin Jata
Raat hogi to chand bhi duhai dega,
Khyalon me woh chehra bhi dikhai dega;
Ye mahobbat h jra soch kr krna,
Jo ek Aansoo bhi gira to sunayi dega.
kuch thi to yehi Tamanna thi akhri apni
k woh saahil pe hotay aur kashti doobti apni..
mil bhi jate hain to katra k guzar jatay hain
Mausam ki tarah Dost badal jate hain
hum abhi tak Giraftar-e-Muhabbat hain yaro
Thokrain kha kar suna hai sambhal k jate hain.
Aankhain bhi wohi hain,Dareechay bhi wohi hain
aur soch k Aangan main utarta bhi wohi hai
jis nay meray Jazbon ki Sadaqat ko na jana
ab meri Rafaqat ko tarasta bhi wohi hai
Tamanna teray jism ki hoti toh dunya say cheen laitay hum
Ishq teri rooh say hai is liye khuda say maangtay hain hum
Anokhay wazah hai saray zamanay say niralay hain
Yeh Aashiq kaun si basti k YA RAB rahnay walay hain
Husool-e-Deed Say Mashroot Kab Hai Jazba-e-Dil,
Mujhey Toh Pyar Teray Naam Par bhi Aata Hai,
Main Hijr-o-Wasl Ki Hadh Se Guzar Gaya Shayad,
Tu Saamnay bhi Nahi Aur Nazar bhi Aata Hai.
Tereay naam ki thi jo roshni
Usay khud hi tu nay bujha diya
Na jala saki jisay dhoop bhi
Usay chandni nay jala diya
Main hoon gardishon main ghira howa
Muhje aap apni khabar nahi
Wo jo shakhs tha meray rahnuma
Usay raaston main ganwa diya
Jo teri nazar me ajeeb tha
Wohi shakhs tera habib tha
Terey hath ki woh lakeer tha
Usay hath say hi mita diya
Mujhe ishq hai k janoon hai
Abhi faisla nahi hosaka
Mera naam zenat-e-dasht tha
Mujhe aandhiyon nay mita diya
Dil Ki Cho'khaat Pe Jo ek Deep Jala Rakha Hai
Tere Lot Anay Ka imkaan Saja Rakha Hai
Sans Tak Bhi Nahi Laitay Tujhay Sochtay Howe
Hum Nay Is Kaam Ko Bhi Kal Pay uTha Rakha Hai
Rooth Jatay Ho Toh Kuch aur Haseen Lagtay Ho
Hum Nay Yeh Soch K Hi Tum Ko Khafa Rakha Hai
Tum Jisay Rootha Howa Choor Gaye Thay ek Din
Hum Nay Us Shaam Ko Seenay Say Laga Rakha Hai
Chain Lainay Nahi Daitay Yeh Kisi Toor Mujhay
Teri Yadoon Nay Jo Tufaan Utha Rakha Hai
Janay Walay Nay Kaha Tha K Woh Lootay Ga Zaroor
ek Isi Aas Pay Darwaza Khula Rakha Hai
Teray Janay Say Jo k Dhool Uthi Thi Ghaam Ki
Hum Nay Us Dhool Ko Ankhon Main Basa Rakha Hai
Mujhko Kal Shaam Say Woh Yaad Bohut Anay Lagay
Dil Nay Mud'dat Say Jo ek Shaks Bhula Rakha Hai
Akhri Baar Jo Aya Tha Meray Naam
Main Nay Us Khat Ko Kalejay Say Laga Rakha Hai.!
dayar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete
tumhin ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua wo karte k ham asman hila dete
hamein ye zom raha ab k wo pukarenge
unhen ye zid thi k har bar ham sada dete
wo tera gam tha k tasir mere lahje ki
k jis ko hal sunate use rula dete
tumhen bhulna hi awwal to dastaras mein nahin
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete
tumhari yad ne koi jawab hi na diya
mere khayal k ansu rahe sada dete
samton ko main ta-umr kosta Syed
wo kuch na kahte magar honth to hila dete
tum meri ankh k tewar na bhula paogay
ankahi baat ko samjhogay toh yaad aoonga
hum nay khushyon ki tarah dukh bhi ikhattay dekhay
safah-e-zist ko paltogay toh yaad aoonga
isi andaz main hotay thay mukhatib mujh se
khat kisi aur ko likhogay toh yaad aoonga
sard raton k mehektay howay sannaton main
jab kisi phool ko choomogay toh yaad aoonga
ab teray ashk main honthon say chura leta hoon
hath say khud inhen ponchogay toh yaad aoonga
shal pahnayega ab kaun december main tumhain
barishon main kabhi bheego gay toh yaad aoonga
aaj tum mahfil-e-yaran pay ho maghroor bohut
jab kabhi toot k bikhrogay toh yaad aoonga
hadsay ayengay jiwan main toh tum ho k nidhaal
kisi deewaar ko thamogay toh yaad aoonga
is main shamil hai meri bakht ki tariki bhi
tum siyah rang jo pahnogay toh yaad aoonga
Tumhara naam likhnay ki ijazat chin gayi jab say
koi bhi lafz likhta hoon toh aankhain bheeg jati hain
Hazaron mausmon ki hukmarani hai meray dil par
Wasi main jab bhi tanhha hoon toh aankhain bheeg jati hain .
Pathar tha magar barfk gaalon ki tarah tha.
Aik shakhs andheron main ujalon ki tarah tha.
Khwabon ki tarah tha na khyalon ki tarah tha.
Woh ilm-e-riyazi k sawalon ki tarah tha.
Uljha howa aisa k kabhi hal ho nahi paya.
Suljha howa aisa k misalon ki tarah tha.
Woh mil to gaya tha magar apna hi muqaddar.
Shatranj ki uljhi howi chaalon ki tarah tha.
Woh rooh main khushbu ki tarah ho gaya tehleel.
Jo door bohut chand k haalon ki tarah tha.
Judai say mara wo bhi nahi main bhi nahi.
Dono insan hain khuda woh bhi nahi main bhi nahi.
Woh mujhe aur main usay ilzaam daitay hain magar.
Apnay andar jhankta woh bhi nahi main bhi nahi.
Zamanay nay kar diya dono main paida ikhtlaaf.
Warna fitrat ka bura woh bhi nahi main bhi nahi.
Mukhtalif simton main dono ka safar jari raha.
Aik lamhay ko ruka woh bhi nahi main bhi nahi.
Chahtay dono bohut hain aik dusray ko magar.
Yeh haqiqat maanta woh bhi nahi main bhi nahi.
Likh Dena yeh misra Meri Sang-e-Lahad Par Ghalib
K mout Achi hai Magar Dil ka lagana Acha nahi!
Main toh bik Jaoon teray naam Pay mout ki tarha wasi!
tu kabi kharidaar toh bun k a zindagi k Bazar main!
Har baar wo kyun mujhay chor jata hai tanha A DOST
Main mazaboot tu bohat hoon magar pathar to nahi!
Humain to kab say pata tha k "TU' bewafa hai Dost!
Tujhe Chaha is liye k shayed teri fitrat badal jaye!
Phir Kisi Yaad Nay Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko
Kiya Saza Di Hai Mohabbat Nay Khudaya Mujh Ko
Din Ko Aaram Hai Na Raat Ko Hai Chain Kabhi
Janay Kis Khaak Say Kudrat Nay Banaya Mujh Ko
Dukh To Yeh Hai K Zamanay Main Milay Ghair Sabhi
Jo Mila Hai Woh Mila Ban K Paraya Mujh Ko
Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Meray Ronay Ko
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko
ab To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahin Hai Koi
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko
Bewafa Zindagi Nay Jab Chor Diya Hai Tanha
Muat Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko
Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi
Gham Ki Andhi Nay Subah Shaam Bujhaya Mujh Ko
Kaisay Bhoolon Ga Teray Saath Guzaray Lamhay
Yad Aata Raha zulfon Ka Hi Saya Mujh Ko,,
baazeechaa-e-atfaal hai duniya meray agay
hota hai shab-o-roz tamasha meray agay
ik khel hai aurang-e-sulemaan meray nazdeeq
ik baat hai eijaz-e-maseeha meray agay
juz naam nahi surat-e-aalam mujhe manzoor
juz waham nahi hasti-e-ashiya meray agay
hota hai nishan gard main sehra meray hotay
ghista hai jabeen khaak pay dariya meray agay
mat pooch k kya haal hai mera teray peechay?
tu dekh k kya rung hai tera meray agay
such kehtay ho , khudbeen-o-khud_araa na kyun hoon?
betha hai but-e-ayina_seemaa meray agay
phir dekhiye andaaz-e-gul_afshani-e-guftar
rakhday koi paimana-o-sahba meray agay
nafrat ka gumaan guzray hai main rashq say guzra
kyun kar kahoon lo naam na un ka meray agay
emaan mujhe rokay hai jo khinchay hai mujhe kufr
kaaba meray peechay hai kaleesa meray agay
ashiq hoon pay mashooq farebi hai mera kaam
majnoon ko bura kehti hai laila meray agay
khush hotay hain par wasl main yun marr nahi jatay
ayi shab-e-hijraan ki tamanna meray agay
hai mauj_zan ik qulzum-e-khoon , kaash yahi ho
ata hai abhi dekhiye kya kya meray agay
jo hath ko jumbish nahi ankhon main toh dum hai
rehnay do abhi saghar-o-meena meray agay
hum_pesha-o-hum_mashrab-o-hum_raaz hai mera
ghalib ko bura kyun kaho acha meray agay
Hussan Waalon Ko Kya Zarorrat Hai Sanwarny Ki,
Wo To Sadgi Main Bhi Qayamat Ki Ada Rakhty Hain.!
umar bhar hum yun hi ghalti kartay rahay ghalib
dhool chehray pay thi aur hum ayina saaf kartay rahay
Gila shikwa hi kar dalo k kuch waqt kat jaye,“faraz”
Labon pay tumharay yeh khamoshi achi nahi lagti..!!
Thukra de koi to dil tut jata hai,
toor deti he yaade jab koi apna hi samaj nahi pata he,
sach kehte he duniya wale,
insan dimag se nahi dil se haar jata he ....
Tu Intekhaab-e-Rang Main Masroof Aur Idhar
Koi Tere Junoon Mai Siyah Posh Ho Gayaa ...
meri pehchan ka ek shakhs iss sheher mei hai,
mei bhe zinda hon zara oss ko bata de koi.....
Agr Tum jo ijaazat do,To chand Lafzon me keh daalain,
k Tum Bin Mar To Sakte Hain" "TUM BIN jee NAHIN SAKTE...!!
is dayaar-e-bayrukhi main is qadar paas-e-wafa
bus yahi ik kaam tha jo hum ghalat kartay rahay
rait par likh k mera naam mitaya na karo
ankhain such bolti hain pyar chupaya na karo
log har baat ka afsana bana laitay hain
sub halaat ki rudaad sunaya na karo
yeh zaroori nahi har shaks masiha hi ho
pyar k zakhm amanat hain dikhaya na karo
shehr-e-ehsaas main pathrao bohut hain mohsin
dil ko sheeshay k jharokon main sajaya na karo
theher jao k hairani toh jaye
tumhari shakl pehchani toh jaye
shab-e-ghum tu hi mehmaan bun k aja
humaray ghar ki wirani toh jaye
zara khul kar bhi ro lainay do hum ko
k dil ki aag tak pani toh jaye
bala say tod dalo ayino ko
kisi soorat yeh hairani toh jaye
zikr-e-shab-e-firaaq say wehshat usay bhi thi
meri tarah usay bhi mohabbat kisi say thi
mujhko bhi shawk tha naye chehron k deed ka
rasta badal k chalnay ki adat usay bhi thi
us raat dair tak raha woh mehv-e-guftugu
masrrof main bhi kam tha faraagat usay bhi thi
sunta tha woh bhi sub say purani kahaniyan
taza rafaqaton ki zaroorat usay bhi thi
mujhsay bichad k shehr main ghul mil gaya woh shaks
halaan k shehr bhar say raqabat usay bhi thi
woh muhsay badh k zabt ka aadi tha ji gaya
warna har ek saans qayamat usay bhi thi
woh gul farosh kahan ab gulaab kis say loon?
nahi raha mera saqi main sharaab kis say loon?
jo kuch kaho kabool hai taqraar kya karoon
sharminda ab tumhain sar-e-bazar kya karoon
maloom hai k paar khula aasmaan hai
chut tay nahi hain yeh dar-o-deewaar kya karoon
is haal main bhi saans liye ja raha hoon main
jata nahi hai aas ka azaar kya karoon
hain wa shigaaf mujhpay tumhari inayatain
jo unkahi na ho usay izhaar kya karoon
phir ek baar woh rukh-e-maasoom dekhta
khulti nahi hai chashm-e-gunehgaar kya karoon
is pur sukoon subha main yeh fiza shaoor
woh so rahay hain ab unhain baydaar kya karoon
Qalam Say Likh Nahi Sakta Main Zakhmi Dil K Afsany
Mujhy Bas Us Say Mohabat Hy Us K Dil Ki KHUDA Jany
Kharch jitna karoon ye bharti ha
Yaad teri ajeeb dolat ha............!
Bhool jana to rasm e duniya hai Mohsin
Tmne bhool ker konsa kamaal ker diya ...
Umeed e yaar , nazar ka mizaj , dard ka rang ,
tum aaj kuch bi na poocho k dil udas bohat hay. ..
Uske Khat me Mere hi khat ke tukre they,
Aur Mujhe laga, Mere khat ka jawab aaya hai ...
Teri Ghaflaton Ko Khabar Kahan, Mere Haal e Dil Pe Nazar Kahan,,
Tu Jafa Ki Hadd Mein Naa Aa Saka, Main Wafa Ki Hadd Se Guzar Gayi.......
Hum Toot Ke Karte Hain Meri Jaan Muhabbat,
Ye Kaam Humein Hasb-e-Zarurt Nahi Aata......!
Kaash k Ab Kay Baras Wo Ye keh dey!
Aao k Main Tanha hoon, Teri Tarha, Teray liye..!!
Yeh Ehsaas-E-Tanhayi, Teri Berukhi Aur Ruswaayi,
Yeh Jab Bhi Yaad Aati Hai, Halaq Mein Jaan Aati Hai..
Wo apne hi hote hen jo lafzon sy mar dete hen,,
warna gheron ko keya khabar k dil kis bat pe dukhta hy..
tumhara naam kisi ajnabi k labon pay tha
baat zara si thi magar dil pay lagi bohut
Ye dar-e-parda raqeebon sy gilay shikway nahi achay,
Tumhain jo bhi shikayat thi hamaray rubru krtay......
Zindagi To Us Say Bichar Kr B Guzar Jaye Ge
Mgr Baat Mushkil Hay Usko Bhulany Wali...
Aaj Din tere Milan ki tarha bohat chota tha ..
Aj Phr Raat tere intazar ki tarha taveel hogi..
main samandar hoon khamoshi meri majboori hai
de sako toh kisi tooFaan ki duaa do mujh ko...
dil dhoondta ha... phir wohi.... fursat kay raat din.... ;)
bethay rahain tasawar-e-janaan kiye howay...
Is Qadar Shid'dat Se Tumhe Socha Hai Musalsal Main Ne
Keh Ajj Meri Zaat Ka Muj Se Ikhtalaff Ho Gaya……
Main Is Bebasi Ki Duniya Mein Kaise Jiyoon
Yahaan Sakoon To Milta Hai Magar,Saanse Ruk Jaane K Baad ..
Manzilon Ki Baat Churo Kis Ne Payi Manzilein ??
Ek Safar Acha Laga Ek Humsafar Acha Laga....!!!!!!!
Uski Bahon Mein Sonney Ka Ab Tak Shok Hai Mujko,
Mohabbat Mein Ujarr Kr Bi Meri Addat Nahi Badli. .
Tujh Mein Aur Mujh Mein Sirf Itna Farq Hai
Tera Kuchh Kuchh Hoon mein Aur Mera Sab Kuchh Hai tu. ..
Tamam Umer Ki Awargi Pe Bhari Hai,
Woh Ik Shab Jo Teri Yaad Mein Guzari Hai,
Mujhe Yeh Naaz K Mien Husan Ka Musavir HUn,
Unehin yeh fakhar K Tasweer Toh Humari Hai....!!!
Nigah Azal Se Piyasi Hai Aur Kuch BHi Nahi,
Sari Duniyaan Hi Khafa Si hai Aur Kuch Bhi Nahi,
Gham-e-Jana Hai Na Gham-e-Duniyaa "GHALIB"
Aik Benaam Udasi hai Aur Kuch BHi Nahi....!!!
Marna Toh Is Jahan Mein Koi Hadsa Hai,
Is Dor-e-Nagawar Mein Jeena Kamal hai....!!!
Woh Rukshat Hua Toh Mil Kar Nahi gaya,
Woh Kyun Gaya Yeh BHi Bata Kar Nahi Gaya,
Yunhi Lag raha Hia Jaise Abhi Loat Ayega,
Kuke Woh Jalta Hua Diya Bujha K Nahi Gaya....!!!
Kabhi Dekh Dhoop Mein Kharday Tanha Shajar Ko,
Aise Jaltay hain Wafaon Ko Nibhanay Walay....!!!!
Yeh chaand yeh taaray yeh haseen raat ka aalam
Munsoob tere naam se kya kya na karen gay...!!
MeIn GuM RehTa HoOn Har LamHa TerI YaaDoOn K MeLaY MeiN
TuJhe DilsaY BhuLaNa HaI MaGaR FuRsaT NahIn MiLt..

Subscribe to:
Posts (Atom)